اردو हिंदी
Ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab | Shaahi Shayari
ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab

Ghazal

Ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab

Allama Iqbal

;

ye huryan-e-farangi dil o nazar ka hijab
bahisht-e-maghrabiyan jalwa-ha-e-pa-ba-rikab

dil o nazar ka safina sambhaal kar le ja
mah o sitara hain behr-e-wajud mein girdab

jahan-e-saut-o-sada mein sama nahin sakti
latifa-e-azali hai fughan-e-chang-o-rabab

sikha diye hain use shewa-ha-e-KHanqahi
faqih-e-shahr ko sufi ne kar diya hai KHarab

wo sajda ruh-e-zamin jis se kanp jati thi
usi ko aaj taraste hain mimbar o mehrab

suni na misr o filistin mein wo azan main ne
diya tha jis ne pahaDon ko rasha-e-simab

hawa-e-qurtaba shayad ye hai asar tera
meri nawa mein hai soz-o-surur-e-ahd-e-shabab