ye hum se puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai
tumhin kaho sila-e-KHun-e-kushtagan kya hai
asir-e-band-e-KHizan hun na puchh ai sayyaad
KHiram kya hai saba kya hai gulsitan kya hai
hui hai umr ki dil ko nazar se rabt nahin
magar ye silsila-e-chashm-e-KHun-fishan kya hai
nazar uThe to na samjhun jhuke to kya samjhun
sukut-e-naz ye paira-e-bayan kya hai
bahen na aankh se aansu to naghmagi be-sud
khilen na phul to rangini-e-fughan kya hai
nigah-e-yas tere hath hai bharam dil ka
kahin wo jaan na len ishq ki zaban kya hai
ye aur baat ki hum tum ko bewafa na kahen
magar ye jaante hain jaur-e-asman kya hai
main shikwa-sanj nahin apni tira-baKHti ka
magar batao to ye subh-e-zar-fishan kya hai
Ghazal
Ye humse puchhte ho ranj-e-imtihan kya hai
Akhtar Saeed Khan