ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya
be-chehragi ki bhiD mein har chehra kho gaya
jis ko saza mili thi ki jage tamam umr
sunta hun aaj maut ki banhon mein so gaya
harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai
kya shahr tha jo barf ki chaTTan ho gaya
main us ko nafraton ke siwa kuchh na de saka
wo chahaton ka bij mere dil mein bo gaya
marham to rakh saka na koi mere zaKHm par
jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya
ya kijiye qubul ki har chehra zard hai
ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya
main ne to apne gham ki kahani sunai thi
kyun apne apne gham mein har ek shaKHs kho gaya
us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main
mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya
ek mah-wash ne chum li peshani-e-'hafiz'
dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya
Ghazal
Ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya
Hafeez Banarasi