اردو हिंदी
Yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai | Shaahi Shayari
yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai

Ghazal

Yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai

Akhtar Hoshiyarpuri

;

yak-ba-yak mausam ki tabdili qayamat Dha gai
ruk ke sustana tha jab mujh ko kaDi dhup aa gai

din Dhale kis ko hai tajdid-e-safar ka hausla
aati jati rahguzar nahaq mujhe bahka gai

bu-e-gul mauj-e-hawa hai aur hawa kyunkar ruke
ab ke miTTi hi ki KHushbu mera ghar mahka gai

wo hawaen hain uDe jate hain pairahan yahan
ai urus-e-zist tu kyun ghar se bahar aa gai

ye hawa aai kahan se is se main waqif na tha
mere ghar mein jo charaghon ka dhuan phaila gai

wo ghaTa phir is taraf se lauT kar guzri nahin
sukhi dharti ko jo dariya ka pata batla gai

zindagi marg-e-talab tark-e-talab 'aKHtar' na thi
phir bhi apne tane-bane mein mujhe uljha gai