yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe
main samajhta tha mere yar samajhte hain mujhe
jaD ukhaDne se jhukaw hai meri shaKHon mein
dur se log samar-bar samajhte hain mujhe
kya KHabar kal yahi tabut mera ban jae
aap jis taKHt ka haqdar samajhte hain mujhe
nek logon mein mujhe nek gina jata hai
aur gunahgar gunahgar samajhte hain mujhe
main to KHud bikne ko bazar mein aaya hua hun
aur dukan-dar KHaridar samajhte hain mujhe
main badalte hue haalat mein Dhal jata hun
dekhne wale adakar samajhte hain mujhe
wo jo us par hain is par mujhe jaante hain
ye jo is par hain us par samajhte hain mujhe
main to yun chup hun ki andar se bahut KHali hun
aur ye log pur-asrar samajhte hain mujhe
raushni banTta hun sarhadon ke par bhi main
ham-watan is liye ghaddar samajhte hain mujhe
jurm ye hai ki in andhon mein hun aankhon wala
aur saza ye hai ki sardar samajhte hain mujhe
lash ki tarah sar-e-ab hun main aur 'shahid'
Dubne wale madad-gar samajhte hain mujhe
Ghazal
Yar bhi rah ki diwar samajhte hain mujhe
Shahid Zaki