wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae!
ek shab mein sare shahr ke chehre badal gae
nairangi-e-nazar pas-e-aina KHub thi
bahar nikal ke dekha to manzar badal gae
miTTi mein mahtab ki KHushbu ka bhed tha
kis justuju mein hum lab-e-baam-e-azal gae
baran ki iltijaon mein waqf-e-dua the jo
peDon ke hath dhup ki zad mein pighal gae
ghulne lagi hain jaise rag-e-jaan mein ThanDaken
kya dekhte hi dekhte mausam badal gae
Ghazal
Wo saneha hua tha ki bas dil dahal gae!
Zulfiqar Ahmad Tabish