اردو हिंदी
Wo lamha mujhko shashdar kar gaya tha | Shaahi Shayari
wo lamha mujhko shashdar kar gaya tha

Ghazal

Wo lamha mujhko shashdar kar gaya tha

Ambar Bahraichi

;

wo lamha mujh ko shashdar kar gaya tha
mere andar bhi lawa bhar gaya tha

hai donon samt virani ka aalam
isi raste se wo lashkar gaya tha

guzari thi bhanwar mein us ne lekin
wo manjhi sahilon se Dar gaya tha

qalandar mutmain tha jhonpaDe mein
abas us ke liye mahzar gaya tha

na jaane kaisi aahaT thi faza mein
wo din Dhalte hi apne ghar gaya tha

abhi tak baam-o-dar hain phul jaise
mere ghar bhi wo KHush-manzar gaya tha

sitare ba-adab Thahre hue the
KHala mein ek KHush-paikar gaya tha

idhar aankhon mein meri dhul Thahri
udhar shabnam se manzar bhar gaya tha

magar tishna-labi Thahri muqaddar
nadi ke pas bhi 'amabar' gaya tha