wo kahte hain ki hum ko us ke marne par tajjub hai
main kahta hun ki main zinda raha kyunkar tajjub hai
mera afsana-e-ishq ek aalam hai tahayyur ka
mujhe kah kar tajjub hai unhen sun kar tajjub hai
meri do-chaar ummiden bar aai thin jawani mein
mere allah itni baat par mahshar tajjub hai
hamin hain ishq ko jo shaghl-e-bekari samajhte hain
hamari hi samajh par paD gae patthar tajjub hai
wafadari hui hai is tarah mafqud duniya se
ki KHud mujh ko yahan tak kar guzarne par tajjub hai
mere ahbab ko hairat hai main ne aaj kyun pi li
nahin kyun aaj tak pi thi mujhe is par tajjub hai
'buKHari' tum jawan ho aur jawani ek nashsha hai
tumhaari dastan-e-gham mujhe sun kar tajjub hai
Ghazal
Wo kahte hain ki hum ko uske marne par tajjub hai
Zulfiqar Ali Bukhari