wo kab aaen KHuda jaane sitaro tum to so jao
hue hain hum to diwane sitaro tum to so jao
kahan tak mujh se hamdardi kahan tak meri gham-KHwari
hazaron gham hain anjaane sitaro tum to so jao
guzar jaegi gham ki raat ummido to jag uTTho
sambhal jaenge diwane sitaro tum to so jao
hamein rudad-e-hasti raat bhar mein KHatm karni hai
na chheDo aur afsane sitaro tum to so jao
hamare dida-e-be-KHwab ko taskin kya doge
hamein luTa hai duniya ne sitaro tum to so jao
use 'qabil' ki chashm-e-nam se derina talluq hai
shab-e-gham tum ko kya jaane sitaro tum to so jao
Ghazal
Wo kab aaen KHuda jaane sitaro tum to so jao
Qabil Ajmeri