wo ek nam jo dariya bhi hai kinara bhi
raha hai us se bahut rabta hamara bhi
chaman wahi ki jahan par labon ke phul khilen
badan wahi ki jahan raat ho gawara bhi
hamein bhi lamha-e-ruKHsat se haul aata hai
juda hua hai koi mehrban hamara bhi
alamat-e-shajar-e-saya-dar bhi wo jism
KHarabi-e-dil-o-dida ka istiara bhi
ufuq thakan ki rida mein lipaTta jata hai
so hum bhi chup hain aur is sham ka sitara bhi
Ghazal
Wo ek nam jo dariya bhi hai kinara bhi
Asad Badayuni