wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi
main us ki qaid mein hun qaid se rihai mein bhi
lahu ki aag mein jal-bujh gae badan to khula
rasai mein bhi KHasara hai na-rasai mein bhi
badalte rahte hain mausam guzarta rahta hai waqt
magar ye dil ki wahin ka wahin judai mein bhi
lihaz-e-hurmat-e-paiman na pas-e-ham-KHwabi
ajab tarah ke tasadum the aashnai mein bhi
main das baras se kisi KHwab ke azab mein hun
wahi azab dar aaya hai is dahai mein bhi
tasadum-e-dil-o-duniya mein dil ki haar ke baad
hijab aane laga hai ghazal-sarai mein bhi
main ja raha hun ab us ki taraf usi ki taraf
jo mere sath tha meri shikasta-pai mein bhi
Ghazal
Wafa ki KHair manata hun bewafai mein bhi
Iftikhar Arif