اردو हिंदी
Wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara | Shaahi Shayari
wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara

Ghazal

Wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara

Momin Khan Momin

;

wade ki jo saat dam-e-kushtan hai hamara
jo dost hamara hai so dushman hai hamara

ye kah-e-ruba se bhi hain kam ai kashish-e-dil
mazkur kuchh aisa pas-e-chilman hai hamara

afsos mu-e-sham-e-shab-e-wasl ki manind
jo qahqaha shadi hai so shewan hai hamara

mahtab ka kya rang kiya dud-e-fughan ne
ahwal shab-e-tar se raushan hai hamara

deta nahin us zof pe bhi josh-e-junun chain
har reg-e-rawan dasht mein tausan hai hamara

tafrih na kyunkar ho hawa aa nahin sakti
goya dar o diwar nasheman hai hamara

gar pas hai logon ka to aa ja ki qalaq se
hai lash kahin aur kahin madfan hai hamara

jazb-e-dil use khinch ke lae to kahan lae
jo ghair ka ghar hai wahi maskan hai hamara

but-KHane se kabe ko chale rashk ke mare
'momin' KHizr-e-rah barhaman hai hamara