wada us mah-ru ke aane ka
ye nasiba siyah-KHane ka
kah rahi hai nigah-e-duz-dida
ruKH badalne ko hai zamane ka
zarre zarre mein be-hijab hain wo
jin ko dawa hai munh chhupane ka
hasil-e-umr hai shabab magar
ek yahi waqt hai ganwane ka
chandni KHamushi aur aaKHir shab
aa ki hai waqt dil lagane ka
hai qayamat tere shabab ka rang
rang badlega phir zamane ka
teri aankhon ki ho na ho taqsir
nam ruswa sharab-KHane ka
rah gae ban ke hum sarapa gham
ye natija hai dil lagane ka
jis ka har lafz hai sarapa gham
main hun unwan us fasane ka
us ki badli hui nazar tauba
yun badalta hai ruKH zamane ka
dekhte hain hamein wo chhup chhup kar
parda rah jae munh chhupane ka
kar diya KHugar-e-sitam 'aKHtar'
hum pe ehsan hai zamane ka
Ghazal
Wada us mah-ru ke aane ka
Akhtar Shirani