اردو हिंदी
UTh ke kapDe badal ghar se bahar nikal jo hua so hua | Shaahi Shayari
uTh ke kapDe badal ghar se bahar nikal jo hua so hua

Ghazal

UTh ke kapDe badal ghar se bahar nikal jo hua so hua

Nida Fazli

;

uTh ke kapDe badal ghar se bahar nikal jo hua so hua
raat ke baad din aaj ke baad kal jo hua so hua

jab talak sans hai bhuk hai pyas hai ye hi itihas hai
rakh ke kandhe pe hal khet ki or chal jo hua so hua

KHun se tar-ba-tar kar ke har rahguzar thak chuke jaanwar
lakDiyon ki tarah phir se chulhe mein jal jo hua so hua

jo mara kyun mara jo luTa kyun luTa jo jala kyun jala
muddaton se hain gum in sawalon ke hal jo hua so hua

mandiron mein bhajan masjidon mein azan aadmi hai kahan
aadmi ke liye ek taza ghazal jo hua so hua