us ko juda hue bhi zamana bahut hua
ab kya kahen ye qissa purana bahut hua
Dhalti na thi kisi bhi jatan se shab-e-firaq
ai marg-e-na-gahan tera aana bahut hua
hum KHuld se nikal to gae hain par ai KHuda
itne se waqiye ka fasana bahut hua
ab hum hain aur sare zamane ki dushmani
us se zara sa rabt baDhana bahut hua
ab kyun na zindagi pe mohabbat ko war den
is aashiqi mein jaan se jaana bahut hua
ab tak to dil ka dil se taaruf na ho saka
mana ki us se milna milana bahut hua
kya kya na hum KHarab hue hain magar ye dil
ai yaad-e-yar tera Thikana bahut hua
kahta tha nasehon se mere munh na aaiyo
phir kya tha ek hu ka bahana bahut hua
lo phir tere labon pe usi bewafa ka zikr
ahmad-'faraaz' tujh se kaha na bahut hua
Ghazal
Usko juda hue bhi zamana bahut hua
Ahmad Faraz