us ke chehre ki chamak ke samne sada laga
aasman pe chand pura tha magar aadha laga
jis ghaDi aaya palaT kar ek mera bichhDa hua
aam se kapDon mein tha wo phir bhi shahzada laga
har ghaDi tayyar hai dil jaan dene ke liye
us ne puchha bhi nahin ye phir bhi aamada laga
karwan hai ya sarab-e-zindagi hai kya hai ye
ek manzil ka nishan ek aur hi jada laga
raushni aisi ajab thi rang-bhumi ki 'nasim'
ho gae kirdar mudgham kirshn bhi radha laga
Ghazal
Uske chehre ki chamak ke samne sada laga
Iftikhar Naseem