un ko ahd-e-shabab mein dekha
chandni ko sharab mein dekha
aankh ka e'tibar kya karte
jo bhi dekha wo KHwab mein dekha
dagh sa mahtab mein paya
zaKHm sa aaftab mein dekha
jam la kar qarib aankhon ke
aap ne kuchh sharab mein dekha
kis ne chheDa tha saz-e-masti ko?
ek shoala rubab mein dekha
log kuchh mutmain bhi the phir bhi
jis ko dekha azab mein dekha
hijr ki raat so gae the 'adam'
subh-e-mahshar ko KHwab mein dekha
Ghazal
Un ko ahd-e-shabab mein dekha
Abdul Hamid Adam