ulTe wo shikwe karte hain aur kis ada ke sath
be-taqati ke tane hain uzr-e-jafa ke sath
bahr-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath
dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath
be-parda ghair pas use baiTha na dekhte
uTh jate kash hum bhi jahan se haya ke sath
wo lala-ru gaya na ho gulgasht-e-bagh ko
kuchh rang bu-e-gul ke ewaz hai saba ke sath
us ki gali kahan ye to kuchh bagh-e-KHuld hai
kis jae mujh ko chhoD gai maut la ke sath
aati hai bu-e-dagh-e-shab-e-tar hijr mein
sina bhi chaak ho na gaya ho qaba ke sath
gulbang kis ka mashwara-e-qatl ho gaya
kuchh aaj bu-e-KHun hai wahan ki hawa ke sath
the wade se phir aane ke KHush ye KHabar na thi
hai apni zindagani usi bewafa ke sath
kuche se apne ghair ka munh hai miTa sake
aashiq ka sar laga hai tere naqsh-e-pa ke sath
allah re gumrahi but o but-KHana chhoD kar
'momin' chala hai kabe ko ek parsa ke sath
Ghazal
UlTe wo shikwe karte hain aur kis ada ke sath
Momin Khan Momin