ufuq ufuq nae suraj nikalte rahte hain
diye jalen na jalen dagh jalte rahte hain
meri gali ke makin ye mere rafiq-e-safar
ye log wo hain jo chehre badalte rahte hain
zamane ko to hamesha safar mein rahna hai
jo qafile na chalen raste chalte rahte hain
hazar sang-e-giran ho hazar jabr-e-zaman
magar hayat ke chashme ubalte rahte hain
ye aur baat ki hum mein hi sabr-o-zabt nahin
ye aur baat ki lamhat Talte rahte hain
ye waqt-e-sham hai ya rab dil o nazar ki ho KHair
ki is samay mein to sae bhi Dhalte rahte hain
kabhi wo din the zamane se aashnai thi
aur aaine se ab 'aKHtar' bahalte rahte hain
Ghazal
Ufuq ufuq nae suraj nikalte rahte hain
Akhtar Hoshiyarpuri