tu aashna-e-jazba-e-ulfat nahin raha
dil mein tere wo zauq-e-mohabbat nahin raha
phir naghma-ha-e-qum to faza mein hain gunjte
tu hi harif-e-zauq-e-samaat nahin raha
aain kahan se aankh mein aatish-chikaniyan
dil aashna-e-soz-e-mohabbat nahin raha
gul-ha-e-husn-e-yar mein daman-kash-e-nazar
main ab haris-e-gulshan-e-jannat nahin raha
shayad junun hai mail-e-farzangi mera
main wo nahin wo aalam-e-wahshat nahin raha
mamnun hun main tera bahut marg-e-na-gahan
main ab asir-e-gardish-e-qismat nahin raha
jalwa-gah-e-KHayal mein wo aa gae hain aaj
lo main rahin-e-zahmat-e-KHalwat nahin raha
kya faeda hai dawa-e-ishq-e-husain se
sar mein agar wo shauq-e-shahadat nahin raha

Ghazal
Tu aashna-e-jazba-e-ulfat nahin raha
Noon Meem Rashid