tujh ko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
mujh ko aazada-rawi KHun jalane se mili
qarya-e-jaan ki tarah un pe udasi thi muhit
dar-o-diwar ko raunaq tere aane se mili
yun tasalli ko to ek yaad bhi kafi thi magar
dil ko taskin tere lauT ke aane se mili
main KHizan-dida shajar ki tarah gumnam sa tha
mujh ko waqat teri taswir banane se mili
shaKH-e-ehsas pe jo phul khile hain un ko
zindagi husn ka idrak baDhane se mili
jagti aankh se jo KHwab tha dekha 'anwar'
us ki tabir mujhe dil ke jalane se mili
Ghazal
Tujhko to quwwat-e-izhaar zamane se mili
Anwar Sadeed