tere karam se KHudai mein yun to kya na mila
magar jo tu na mila zist ka maza na mila
hayat-e-shauq ki ye garmiyan kahan hotin
KHuda ka shukr hamein nala-e-rasa na mila
azal se fitrat-e-azad hi thi aawara
ye kyun kahen ki hamein koi rahnuma na mila
ye kaenat kisi ka ghubar-e-rah sahi
dalil-e-rah jo banta wo naqsh-e-pa na mila
ye dil shahid-e-fareb-nigah ho na saka
wo lakh hum se ba-andaz-e-mahramana mila
kanar-e-mauj mein marna to hum ko aata hai
nishan-e-sahil-e-ulfat mila mila na mila
teri talash hi thi maya-e-baqa-e-wajud
bala se hum ko sar-e-manzil-e-baqa na mila

Ghazal
Tere karam se KHudai mein yun to kya na mila
Noon Meem Rashid