tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka
chhoD dew ab to hawa shauq nikal jaane ka
sang-dil ne dil-e-nazuk kun mere chur kiya
kiya irada tha use shisha-mahal jaane ka
mat karo shama kun badnam jalati wo nahin
aap sin shauq patingon kun hai jal jaane ka
aafrin dil kun mere KHub baja kaam aaya
sach sipahi ko baDa nang hai Tal jaane ka
shoala-ru jam-ba-kaf bazm mein aata hai 'siraj'
gardan-e-shama kun kya bak hai Dhal jaane ka
Ghazal
Tha bahana mujhe zanjir ke hil jaane ka
Siraj Aurangabadi