tha ajal ka main ajal ka ho gaya
bich mein chaunka to tha phir so gaya
lutf to ye hai ki aap apna nahin
jo hua tera wo tera ho gaya
kaTe khati hai mujhe viranagi
kaun is madfan pe aa kar ro gaya
bahr-e-hasti ke umuq ko kya bataun
Dub kar main 'shad' is mein kho gaya
Ghazal
Tha ajal ka main ajal ka ho gaya
Shad Azimabadi