اردو हिंदी
Teri zulfen ghair agar suljhaega | Shaahi Shayari
teri zulfen ghair agar suljhaega

Ghazal

Teri zulfen ghair agar suljhaega

Shad Azimabadi

;

teri zulfen ghair agar suljhaega
aankh walon se na dekha jaega

sab tarah ki saKHtiyan sah jaega
kyun dila tu bhi kabhi kaam aaega

ek din aisa bhi naseh aaega
gham ko main aur gham mujhe kha jaega

ai falak aisa bhi ek din aaega
jab kiye par apne tu pachhtaega

wasl mein dhaDka hai nahaq hijr ka
wo din aaenge tujhe samjhaega

aa chuke ahbab uThane meri lash
naz us ko dekhiye kab laega

choT khae dil ka matam-dar hai
mera nala bhi taDapta jaega

chhoD de hum wahshiyon ko ai ghubar
pichhe pichhe tu kahan tak aaega

muntazir hai jaan-e-bar-lab-amada
dekhiye kab phir ke qasid aaega

hijr mein nale ghanimat jaan le
phir to KHud ai zof tu pachhtaega

nim-kushta hain to hain phir kya karen
kuchh agar bolen to wo sharmaega

josh-e-wahshat tujh pe sadqe apni jaan
kaun talwe is tarah sahlaega

aur bhi taDpa diya gham-KHwar ne
KHud hai wahshi kya mujhe bahalaega

rah-rau tujh sa kahan ai KHizr-e-shauq
kaun teri KHak-e-pa ko paega

bagh mein kya jaen aati hai KHizan
gul ka utra munh na dekha jaega

meri jaan main kya karunga kuchh bata
jab tasawwur raat bhar taDpaega

kyun na main mushtaq naseh ka rahun
nam tera us ke lab par aaega

dil ke hathon ruh agar ghabra gai
kaun us wahshi ko phir bahalaega

kho gae hain donon jaanib ke sire
kaun dil ki gutthiyan suljhaega

main kahan waiz kahan tauba karo
jo na samjha KHud wo kya samjhaega

thak ke aaKHir baiTh jaega ghubar
karwan munh dekh kar rah jaega

dil ke hathon se jo ghabraoge 'shad'
kaun is wahshi ko phir samjhaega

kam na samjho shauq ko ai 'shad' tum
ek na ek baDh ke ye aafat laega

hai KHizan gul-gasht ko jao na 'shad'
girya-e-shabnam na dekha jaega

kuchh na kahna 'shad' se haal-e-KHizan
is KHabar ko sunte hi mar jaega