اردو हिंदी
Tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum | Shaahi Shayari
tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum

Ghazal

Tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum

Shad Azimabadi

;

tamam umr namak-KHwar the zamin ke hum
wafa sarisht mein thi ho rahe yahin ke hum

nikal ke ruh DanwaDol ho na jae kahin
hazar haif na duniya ke hain na din ke hum

nazar uTha ke na dekha kisi taraf ta-umr
rahe KHayal mein ek chashm-e-surma-gin ke hum

zamin chhuDai gai hum se jab bana kar KHak
yahan pe kya na rahe ai saba kahin ke hum

yahan makan hai to kyun aasman ki sair karen
makin hain 'shad' azal se isi zamin ke hum

zamana 'shad' hamein kyun bhula nahin deta
na haju ke na saza-war aafrin ke hum