tab-e-dil sarf-e-judai ho chuki 
yani taqat aazmai ho chuki 
chhuTta kab hai asir-e-KHush-zaban 
jite ji apni rihai ho chuki 
aage ho masjid ke nikli us ki rah 
shaiKH se ab parsai ho chuki 
darmiyan aisa nahin ab aaina 
mere us ke ab safai ho chuki 
ek bosa mangte laDne lage 
itne hi mein aashnai ho chuki 
bich mein hum hi na hon to lutf kya 
rahm kar ab bewafai ho chuki 
aaj phir tha be-hamiyat 'mir' wan 
kal laDai si laDai ho chuki
        Ghazal
Tab-e-dil sarf-e-judai ho chuki
Mir Taqi Mir

