اردو हिंदी
Ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein | Shaahi Shayari
ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein

Ghazal

Ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein

Momin Khan Momin

;

ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein
hum nahin chahte kami apni shab-e-daraaz mein

aur hi rang aaj hai aariz-e-gul-azar ka
KHun-e-dil apna tha magar go na ruKH-e-taraaz mein

kyunki na aadhi aadhi raat jage wo jis ka dhyan ho
aahu-e-nim-KHwab mein nargis-e-nim-baz mein

KHusraw-e-aish-e-wasl-e-yar jaan-kani aur kohkan
apna jigar to KHun hua ishq ke imtiyaz mein

bin tere bazm-e-sur mein hain ye qabahaten ki hai
naghma-e-sur ka asar naghma-e-nai-nawaz mein

un se ab iltifat ki ghair ko hain shikayaten
sun ke mera mubaalagha minnat-e-ehtiraaz mein

kya sabhi sine jal chuke kya sabhi dil pighal chuke
bu-e-kabab ab nahin aah-e-jigar-gudaz mein

parda-nashin ke ishq mein parda-dari na ho kahin
hoti hain be-hijabiyan jaan-e-nahufta-raaz mein

raKHna-e-dar se ghair pas dekha kise ki aaj hai
raKHna-gari kuchh aur hi nala-e-raKHna-saz mein

yaad-e-butan mein lakh bar fart-e-qalaq se hum bhi to
baiThe uThe hain 'momin' aap gir rahe shab namaz mein