اردو हिंदी
Surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti | Shaahi Shayari
surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

Ghazal

Surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti

Qabil Ajmeri

;

surahi ka bharam khulta na meri tishnagi hoti
zara tum ne nigah-e-naz ko taklif di hoti

maqam-e-ashiqi duniya ne samjha hi nahin warna
jahan tak tera gham hota wahin tak zindagi hoti

tumhaari aarzu kyun dil ke virane mein aa pahunchi
bahaaron mein pali hoti sitaron mein rahi hoti

zamane ki shikayat kya zamana kis ki sunta hai
magar tum ne to aawaz-e-junun pahchan li hoti

ye sab ranginiyan KHun-e-tamanna se ibarat hain
shikast-e-dil na hoti to shikast-e-zindagi hoti

raza-e-dost 'qabil' mera meayar-e-mohabbat hai
unhen bhi bhul sakta tha agar un ki KHushi hoti