اردو हिंदी
Subh har ujale pe raat ka guman kyun hai | Shaahi Shayari
subh har ujale pe raat ka guman kyun hai

Ghazal

Subh har ujale pe raat ka guman kyun hai

Ali Sardar Jafri

;

subh har ujale pe raat ka guman kyun hai
jal rahi hai kya dharti arsh pe dhuan kyun hai

KHanjaron ki sazish par kab talak ye KHamoshi
ruh kyun hai yaKH-basta naghma be-zaban kyun hai

rasta nahin chalte sirf KHak uDate hain
karwan se bhi aage gard-e-karwan kyun hai

kuchh kami nahin lekin koi kuchh to batlao
ishq is sitamgar ka shauq ka ziyan kyun hai

hum to ghar se nikle the jitne ko dil sab ka
tegh hath mein kyun hai dosh par kaman kyun hai

ye hai bazm-e-mai-noshi is mein sab barabar hain
phir hisab-e-saqi mein sud kyun ziyan kyun hai

den kis nigah ki hai kin labon ki barakat hai
tum mein 'jafari' itni shoKHi-e-bayan kyun hai