siyahkar siyah-ru KHata-shiar aaya
teri janab mein tera gunahgar aaya
KHizan ka daur gaya mausam-e-bahaar aaya
magar na is dil-e-be-sabr ko qarar aaya
kahin jawab na tu ne diya yahan ke siwa
jahan mein yun to bahut main tujhe pukar aaya
sara-e-dahr mein chhoDa tan-e-kasif apna
ye bojh sar se musafir tera utar aaya
hamare nala-e-dil ka na puchhiye ahwal
gali se yar ki himmat bhi ab ke haar aaya
paDi jo qais ke upar nazar bayaban mein
mujhe gharib ke upar ghazab ka pyar aaya
na apne panw se aana mila gali mein teri
yahan bhi chaar ke kandhon pe main sawar aaya
ye iztirab hai kyun hai kidhar ka qasd ai ruh
kahan se aai talab kis jagah se tar aaya
bura KHizan ka ho dekhe jo sukhe sukhe honT
gharib phul pe mujh ko ghazab ka pyar aaya
meri na puchh ki teri gali mein KHak hun main
tujhi ko meri wafa ka na e'tibar aaya
lahad ne khol ke aaghosh di jagah jo mujhe
lipaT ke rah gae hum ko bhi KHub pyar aaya
yaqin jaan le saqi ki KHum ki KHair nahin
KHuda na karda jo ab ke mujhe KHumar aaya
mere nasib kahan is tarah ke dida-e-tar
sunun ye KHush-KHabari kan se ki yar aaya
nigah ne un ki jahan said-e-nau ko tak liya
ada ne un ki kaha le naya shikar aaya
tere firaq ke KHugar na mar miTe jab tak
qaza ke aane ka tab tak na e'tibar aaya
dila palaT gaya qismat ka pahle hi pasa
ab apni jit kahan dil jab apna haar aaya
jab iKHtiyar chaman par nahin to hum ko kya
hazar bar agar mausam-e-bahaar aaya
shikayat-e-dil-e-muztar kahan talak ai maut
duaen dunga tujhe gar ise qarar aaya
jawab-e-KHat ka na qasid se majra puchho
hai saf chehre se zahir ki sharmsar aaya
nazar mein phir gai chaal aap ki jawani ki
jo laDkhaData hua koi baada-KHwar aaya
jo mangte to hamein baghban se kya milta
gharib phul to daman ko bhi pasar aaya
na apne nala-e-dil ko mila jawab kahin
nikal ke dil se tujhe arsh tak pukar aaya
adam mein 'shad' ko kya walwala ho jannat ka
ki ye gharib to hasti se dil ko mar aaya
Ghazal
Siyahkar siyah-ru KHata-shiar aaya
Shad Azimabadi