sitare chahte hain mahtab mangte hain
mere dariche nai aab-o-tab mangte hain
wo KHush-KHiram jab is rah se guzarta hai
to sang-o-KHisht bhi izn-e-KHitab mangte hain
koi hawa se ye kah de zara Thahar jae
ki raqs karne ki mohlat hubab mangte hain
ajib turfa-tamasha hai mere ahd ke log
sawal karne se pahle jawab mangte hain
talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main
magar ye log in aankhon ke KHwab mangte hain
ye ehtisab ajab hai ki mohtasib hi nahin
rikab thamne wale hisab mangte hain
sutun-o-baam ki diwar-o-dar ki shart nahin
bas ek ghar tere KHana-KHarab mangte hain
Ghazal
Sitare chahte hain mahtab mangte hain
Abbas Rizvi