sitara-war jale phir bujha diye gae hum
phir is ke baad nazar se gira diye gae hum
aziz the hamin nau-waridan-e-kucha-e-ishq
so pichhe haTte gae rasta diye gae hum
shikast o fath ke sab faisle hue kahin aur
misal-e-mal-e-ghanimat luTa diye gae hum
zamin farsh-e-gul-o-lala se sajai gai
phir is zamin ki amanat bana diye gae hum
duaen yaad kara di gai thin bachpan mein
so zaKHm khate rahe aur dua diye gae hum

Ghazal
Sitara-war jale phir bujha diye gae hum
Iftikhar Arif