اردو हिंदी
Shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin | Shaahi Shayari
shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

Ghazal

Shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

Ali Jawwad Zaidi

;

shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin
han magar ashk jab umDe the chhupae to nahin

teri mahfil ke bhi aadab ki dil Darta hai
meri aankhon ne durr-e-ashk luTae to nahin

chhan li KHak bayabanon ki viranon ki
phir bhi andaz-e-junun aql ne pae to nahin

lakh pur-wahshat o pur-haul sahi sham-e-firaq
hum ne ghabra ke diye din se jalae to nahin

ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki wo
na bulae na sahi dil se bhulae to nahin

hijr ki raat ye har Dubte tare ne kaha
hum na kahte the na aaenge wo aae to nahin

inqilab aate hain rahte hain jahan mein lekin
jo banane ka na ho ahl miTae to nahin

apni is shoKHi-e-raftar ka anjam na soch
fitne KHud uThne lage tu ne uThae to nahin