اردو हिंदी
Shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye | Shaahi Shayari
shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye

Ghazal

Shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye

Ali Sardar Jafri

;

shaikast-e-shauq ko takmil-e-arzu kahiye
jo tishnagi ho to paimana-o-subu kahiye

KHayal-e-yar ko dijiye visal-e-yar ka nam
shab-e-firaq ko gaisu-e-mushk-bu kahiye

charagh-e-anjuman-e-hairat-e-nazara the
wo lala-ru jinhen ab dagh-e-arzu kahiye

mahak rahi hai ghazal zikr-e-zulf-e-KHuban se
nasim-e-subh ki manind ku-ba-ku kahiye

shikayaten bhi bahut hain hikayaten bhi bahut
maza to jab hai ki yaron ke ru-ba-ru kahiye

ba-hukm kijiye phir KHanjaron ki dildari
dahan-e-zaKHm se afsana-e-gulu kahiye