shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae
aisi garmi hai ki pile phul kale paD gae
main andheron se bacha laya tha apne-ap ko
mera dukh ye hai mere pichhe ujale paD gae
jin zaminon ke qabaale hain mere purkhon ke nam
un zaminon par mere jine ke lale paD gae
taq mein baiTha hua buDha kabutar ro diya
jis mein Dera tha usi masjid mein tale paD gae
koi waris ho to aae aur aa kar dekh le
zill-e-subhani ki unchi chhat mein jale paD gae
Ghazal
Shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae
Rahat Indori