اردو हिंदी
Shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae | Shaahi Shayari
shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae

Ghazal

Shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae

Rahat Indori

;

shahr kya dekhen ki har manzar mein jale paD gae
aisi garmi hai ki pile phul kale paD gae

main andheron se bacha laya tha apne-ap ko
mera dukh ye hai mere pichhe ujale paD gae

jin zaminon ke qabaale hain mere purkhon ke nam
un zaminon par mere jine ke lale paD gae

taq mein baiTha hua buDha kabutar ro diya
jis mein Dera tha usi masjid mein tale paD gae

koi waris ho to aae aur aa kar dekh le
zill-e-subhani ki unchi chhat mein jale paD gae