shab ko meri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana
danton mein daba kar honT apna kuchh soch ke us ka rah jaana
mai-KHane mein aana zahid ka phir dar pe ThiThuk kar rah jaana
saqi ke ishaaron ka maston kuchh kan mein sab ke kah jaana
ai yas na manunga teri bas dil ko ziyaada ab na dukha
samjha chuki us ki paheli nigah dukh-dard jo ho wo sah jaana
mana ki faqat mauhum sahi milne ki hamein ek aas to hai
didar to ho le dida-e-tar bahna ho agar tab bah jaana
nale hon ki aahen ai shab-e-gham jab aa gain lab par sabr kiya
sahne ko to sab kuchh dil ne saha sahne ki tarah kab sah jaana
buniyaad jamane mein jin ki kya kuchh na baha tha KHun-e-jigar
ai wa-asfa un mahlon ka ek chashm-e-zadan mein Dah jaana
shab ko wo hatheli se un ka sharma ke chhupana aankhon ko
barchhi ka ada ki chal jaana us tir-e-nazar ka rah jaana
utre na kisi ke jab dil mein us baat ka hasil kya waiz
kahne ko kahi yun apni si afsos na tu ne kah jaana
hum bagh mein nahaq aae the bulbul ki hikayat kya kahiye
minqar ko rakh kar kaliyon par kuchh apni zaban mein kah jaana
sun len dil-e-nadan ki baaten be-kar bigaDen kaam apna
wo zulm karen hum par ki sitam ai 'shad' hamein to sah jaana
Ghazal
Shab ko meri chashm-e-hasrat ka sab dard-e-dil un se kah jaana
Shad Azimabadi