اردو हिंदी
Sham tak subh ki nazron se utar jate hain | Shaahi Shayari
sham tak subh ki nazron se utar jate hain

Ghazal

Sham tak subh ki nazron se utar jate hain

Waseem Barelvi

;

sham tak subh ki nazron se utar jate hain
itne samjhauton pe jite hain ki mar jate hain

phir wahi talKHi-e-haalat muqaddar Thahri
nashshe kaise bhi hon kuchh din mein utar jate hain

ek judai ka wo lamha ki jo marta hi nahin
log kahte the ki sab waqt guzar jate hain

ghar ki girti hui diwaren hi mujh se achchhi
rasta chalte hue log Thahar jate hain

hum to be-nam iradon ke musafir hain 'wasim'
kuchh pata ho to bataen ki kidhar jate hain