اردو हिंदी
ShaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro | Shaahi Shayari
shaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro

Ghazal

ShaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro

Ali Sardar Jafri

;

shaKH-e-gul hai ki ye talwar khinchi hai yaro
bagh mein kaisi hawa aaj chali hai yaro

kaun hai KHauf-zada jashn-e-sahar se puchho
raat ki nabz to ab chhuT chali hai yaro

tak ke dil se dil-e-shisha-o-paimana tak
ek ek bund mein sau shama jali hai yaro

chum lena lab-e-lalin ka hai rindon ko rawa
rasm ye baada-e-gul-gun se chali hai yaro

sirf ek ghuncha se sharminda hai aalam ki bahaar
dil-e-KHun-gashta ke honTon pe hansi hai yaro

wo jo angur ke KHoshon mein thi manind-e-nujum
Dhal ke ab jam mein KHurshid bani hai yaro

bu-e-KHun aati hai milta hai bahaaron ka suragh
jaane kis shoKH sitamgar ki gali hai yaro

ye zamin jis se hai hum KHak-nashinon ka uruj
ye zamin chand sitaron mein ghiri hai yaro

jura-e-talKH bhi hai jam-gawara bhi hai
zindagi jashn-gah-e-baada-kashi hai yaro