sarasar nafa tha lekin KHasara ja raha hai
to kya jiti hui bazi ko haara ja raha hai
safar aaghaz karna tha jahan se zindagi ka
hamein un raston se ab guzara ja raha hai
ye kin ke pas girwi rakh diya hum ne samundar
ye kin logon ko sahil par utara ja raha hai
use jo bhi mila bach kar nahin aaya abhi tak
magar jo bach gaya milne dobara ja raha hai
'salim' ek aaKHiri mazmun baqi tha ki chhapne
meri ruswai ka taza shumara ja raha hai
Ghazal
Sarasar nafa tha lekin KHasara ja raha hai
Saleem Kausar