sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
ba-wazu ho ke bhi chhute hue Dar lagta hai
main tere sath sitaron se guzar sakta hun
kitna aasan mohabbat ka safar lagta hai
mujh mein rahta hai koi dushman-e-jaani mera
KHud se tanhai mein milte hue Dar lagta hai
but bhi rakkhe hain namazen bhi ada hoti hain
dil mera dil nahin allah ka ghar lagta hai
zindagi tu ne mujhe qabr se kam di hai zamin
panw phailaun to diwar mein sar lagta hai
Ghazal
Sar se pa tak wo gulabon ka shajar lagta hai
Bashir Badr