sahra pe bura waqt mere yar paDa hai
diwana kai roz se bimar paDa hai
sab raunaq-e-sahra thi isi pagle ke dam se
ujDa hua diwane ka darbar paDa hai
aankhon se Tapakti hai wahi wahshat-e-sahra
kandhe bhi batate hain baDa bar paDa hai
dil mein jo lahu-jhil thi wo sukh chuki hai
aankhon ka do-aba hai so be-kar paDa hai
tum kahte the din ho gae dekha nahin us ko
lo dekh lo ye aaj ka aKHbar paDa hai
oDhe hue ummid ki ek maili si chadar
darwaza-e-baKHshish pe gunahgar paDa hai
ai KHak-e-watan tujh se main sharminda bahut hun
mahngai ke mausam mein ye tyauhaar paDa hai
Ghazal
Sahra pe bura waqt mere yar paDa hai
Munawwar Rana