اردو हिंदी
Sabab wo puchh rahe hain udas hone ka | Shaahi Shayari
sabab wo puchh rahe hain udas hone ka

Ghazal

Sabab wo puchh rahe hain udas hone ka

Rahat Indori

;

sabab wo puchh rahe hain udas hone ka
mera mizaj nahin be-libas hone ka

naya bahana hai har pal udas hone ka
ye faeda hai tere ghar ke pas hone ka

mahakti raat ke lamho nazar rakho mujh par
bahana DhunD raha hun udas hone ka

main tere pas bata kis gharaz se aaya hun
subut de mujhe chehra-shanas hone ka

meri ghazal se bana zehn mein koi taswir
sabab na puchh mere dewdas hone ka

kahan ho aao meri bhuli-bisri yaado aao
KHush-amdid hai mausam udas hone ka

kai dinon se tabiat meri udas na thi
yahi jawaz bahut hai udas hone ka

main ahmiyat bhi samajhta hun qahqahon ki magar
maza kuchh apna alag hai udas hone ka

mere labon se tabassum mazaq karne laga
main likh raha tha qasida udas hone ka

pata nahin ye parinde kahan se aa pahunche
abhi zamana kahan tha udas hone ka

main kah raha hun ki ai dil idhar-udhar na bhaTak
guzar na jae zamana udas hone ka