اردو हिंदी
Sab ko bata raha hun yahi saf saf main | Shaahi Shayari
sab ko bata raha hun yahi saf saf main

Ghazal

Sab ko bata raha hun yahi saf saf main

Afzal Gauhar Rao

;

sab ko bata raha hun yahi saf saf main
jalte diye se kaise karun inhiraf mein

main ne to aasman ke rangon ki baat ki
kahne lagi zamin badal dun ghilaf mein

gumrah kab kiya hai kisi rah ne mujhe
chalne laga hun aap hi apne KHilaf mein

milta nahin hai phir bhi sira aasman ka
kar kar ke thak chuka hun zamin ka tawaf mein

ab tu bhi aaine ki tarah bolne laga
patthar se bhar na dun tere munh ka shigaf mein