sab aasan hua jata hai
mushkil waqt to ab aaya hai
jis din se wo juda hua hai
main ne jism nahin pahna hai
koi daraD nahin hai shab mein
phir ye ujala sa kaisa hai
barson ka bachhDa hua saya
ab aahaT le kar lauTa hai
apne aap se Darne wala
kis pe bharosa kar sakta hai
ek mahaz pe haare hain hum
ye rishta kya kam rishta hai
qurb ka lamha to yaron ko
chup karne mein guzar jata hai
suraj se sharten rakhta hun
ghar mein charagh nahin jalta hai
dukh ki baat to ye hai 'shaariq'
us ka wahm bhi sach nikla hai
Ghazal
Sab aasan hua jata hai
Shariq Kaifi