اردو हिंदी
Rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai | Shaahi Shayari
rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

Ghazal

Rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai

Agha Shayar Qazalbash

;

rone se jo bhaDas thi dil ki nikal gai
aansu bahae chaar tabiat sambhal gai

main ne taras taras ke guzari hai sari umr
meri na hogi jaan jo hasrat nikal gai

bechain hun main jab se nahin dil-lagi kahin
wo dard kya gaya ki mere dil ki kal gai

kahta hai chaaragar ki na paega indimal
achchha hua ki zaKHm ki surat badal gai

ai shama hum se soz-e-mohabbat ke zabt sikh
kam-baKHt ek raat mein sari pighal gai

shaKH-e-nihaal-e-umr hamari na phal saki
ye to hai wo kali jo nikalte hi jal gai

dekha jo us ne pyar se aghyar ki taraf
'shair' qasam KHuda ki meri jaan jal gai