اردو हिंदी
Raqibon ko hamrah lana na chhoDa | Shaahi Shayari
raqibon ko hamrah lana na chhoDa

Ghazal

Raqibon ko hamrah lana na chhoDa

Zaheer Dehlvi

;

raqibon ko hamrah lana na chhoDa
na chhoDa mera ji jalana na chhoDa

balaen hi le le ke kaTi shab-e-wasl
sitamgar ne munh chhupana na chhoDa

wo kahte hain le ab to sone de mujh ko
koi dil mein arman purana na chhoDa

wo sine se lipTe rahe go shab-e-wasl
dil-e-zar ne tilmilana na chhoDa

mohabbat ke bartao sab chhoD baiThe
magar han satana jalana na chhoDa