اردو हिंदी
Rang jamne na diya baat ko chalne na diya | Shaahi Shayari
rang jamne na diya baat ko chalne na diya

Ghazal

Rang jamne na diya baat ko chalne na diya

Zaheer Dehlvi

;

rang jamne na diya baat ko chalne na diya
koi pahlu mere matlab ka nikalne na diya

kuchh sahaara bhi hamein roz-e-azal ne na diya
dil badalne na diya baKHt badalne na diya

koi arman tere jalwon ne nikalne na diya
hosh aane na diya ghash se sambhalne na diya

chahte the ki payami ko pata den tera
rashk ne nam tera munh se nikalne na diya

shama-ru main ne kaha tha meri zid se us ne
shama ko bazm mein apne kabhi jalne na diya