rahe na ek bhi bedad-gar sitam baqi
ruke na hath abhi tak hai dam mein dam baqi
uTha dui ka jo parda hamari aankhon se
to kabe mein bhi raha bas wahi sanam baqi
bula lo baalin pe hasrat na dil mein mere rahe
abhi talak to hai tan mein hamare dam baqi
lahad pe aaenge aur phul bhi uThaenge
ye ranj hai ki na us waqt honge hum baqi
ye chaar din ke tamashe hain aah duniya ke
raha jahan mein sikandar na aur na jam baqi
tum aao tar se marqad pe hum qadam chumen
faqat yahi hai tamanna teri qasam baqi
'rasa' ye ranj uThaya firaq mein tere
rahe jahan mein na aaKHir ko aah hum baqi
Ghazal
Rahe na ek bhi bedad-gar sitam baqi
Bhartendu Harishchandra